********r kaNRon se ladii huvii kamlii ke bheege haiN sab taar
chaltaa hai paschim ka maarut le kar sheetaltaa kaa bhaar
bheeg rahaa hai rajnii ka woh sundar komal kabhrii bhaal
aruNR kiraNR sam kar se chuu lo kholo priyatam kholo dwaar
Jaishankar Prasad
ye chaayawaad ki aik behad khoobsural kavitaa hai. koi bhaisahib is ka
vishleshaNR kar deN
dhanyawaad